10 Best Free Calls Apps For Android – Android Mobile Se Free Calling Karne Ke 10 Best Apps Ke Jankari

10 Best Free Calls Apps For Android – Android Mobile Se Free Calling Karne Ke 10 Best Apps Ke Jankari


Hello Friends Internet Ke Help se Aaj kal sub kus kar sakte hai sub jante he hai,  Free SMS, Free Chat, Free Video Call, Wo sub bahut popular ho raha hai ab internet itana aage badh gaya hai ke internet Ke Help se Free Calling Bhi kar sakte hai, Aaj me 10 best free calling android apps ke bare me jankari share karunga



Me jo Free Calling Android apps ke bare me batane wala hu wo sub Play store par free me milenge ye international call apps se aap othar country me bhi calling kar ke baat kar sakte hai, Android Mobile se free calling karne ke liye Mobile me internet ka hona jaruri hai internet ke help se apne friends ke sath baat kar sakte hai
Aap bhi free calling ke liye internet par search kar rahe hai to Aap right post par ho in post me  aap ko 10 aise apps ke bare me bataya jayega jin ka use kar ke aap free video call, free voice calling kar sakte hai or Apne friends ke sath chat bhi kar sakte hai,  in post ko pura hone tak read kare or free calling ke 10 apps ke bare me jane

 10 Best Free Calling Apps list – Android Mobile Se Free Calling Ke 10 Best Apps Ke Jankari

1# Whatsapp Messenger 
Whatsapp Ke bare me to Aap jante he hai, so friends ye ek Messenger apps hai, or Whatsapp ke help se aap Photo, video, MP3 Songs, stickers, Etc, apne friends ke sath share kar sakte hai or Chat bhi kar sakte hai, whatsapp Every Month update hota rahta hai to kus na kus new Update ho kar aata hai
Whatsapp jub Janyuari 2008 me lunch huva tha to Bahut kam features the, lekin 2017 tak aate aate free video calling and free voice calling ke features ko add kar diya hai or ab whatsapp par bilkul free me Calling ke suvidha mil rahi hai
2# Dingtone Free Phone Calls, Free Taxing
Free Calling ke liye Dingtone bhi popular apps raha hai, ye Bilkul new apps hai or bahut kam time me popular huva hai aap dekh sakte hai play store par bhi acha review mila hai or bahut se log hai jo Dingtone se free calling ka labh utha rahe hai or free calling, free chat, Etc, kar ke enjoy kar rahe hai
Dingtone ke features bhi bahut khash hai, 2G,3G,4G Network par esaly work karega, And Group calling bhi kar sakte hai, apne group members ke sath, or Dingtone par HD Voice ke sath Call kar sakte hai, or intresting baat ye hai ke other country ke number se bhi call kar sakte hai
3# Wephone – Free Calling 
Wephone bhi popular apps raha hai, Wephone par account creat kar ke Aap free calling ka maja le sakte hai yaha par aap ko international number milenge jin ka use kar ke apne friends ke sath masti kar sakte hai or  choking feel karwa sakte hai
Wephone free or premium dono tarha ka apps hai aap dollar me pay kar ke Call minutes buy kar sakte hai or other country ke number bhi use kar sakte hai, free calling ke liye best apps hai
4# Line Free Calls & Messages 
Line purana apps hai, but best apps hai, free calling, free video calling, messages ke liye, line ko March 2011 me lunch kiya gaya apps hai or 6 year old apps ban gaya hai fir bhi Line ke popularity itani he hai jitane pahle thi Line ko Naver Corporation ne lunch kiya tha jin me bahut se features bhi update kiye gaye hai
Agar Aap line Messages apps use karna cahte hai to ye aap ko 40 Language provide karega or achi baat ye hai ke ye Android, ios, computer, iPhone, All version me kaam karega and group calling bhi kar sakte hai or apne friends ke sath chat, sms, photo, etc send kar sakte hai free calling ke liye popular apps hai play store se download kar ke free me use kar sakte hai
5# Facebook Messenger
Facebook messenger apps facebook ne develop kiya hai, or mai bhi use karta hu, best features ke sath banaya gaya Apps hai, Or Facebook Messenger apps Ko Android, iPhone, teblet, computer, laptops, Kis me bhi esay se chala sakte hai
August 2011 me lunch hone wale facebook messenger app me aap chat
kar sakte hai, apne friends ko sticker send kar sakte hai, and more than image, video, documents, etc, free me send kar sakte hai, or sabse best features ye ke free voice call and free video call kar sakte hai, best apps hai

6# Hangout
Hangout 15 May 2013 me Google company ne Lunch kiya hai, to dosto aap ko pata he hoga ke google ke banayi huvi cheez Faltu nahi hoti, Hangout ko sirf Text SMS send karne ke liye lunch kiya gaya tha, lekin ab Hangout me features add kar diye hai or aap free calling kar sakte hai and Group me apne friends ke sath baat kar sakte hai
Hangout ko aap 2G network par bhi esaly use kar sakte hai and Android, iPhone, teblet, computer, in sub me use kar sakte hai or Apne group me video call bhi free me kar sakte hai, kisi meeting me ya business me bhi hangout apps use kar sakte hai
7# Hike Messenger
Hike messenger bahut he popular apps hai, reason ye hai ke Hike messenger ko Offline Bhi use Kar sakte hai, Hike ko 12 December 2012 me Kavin Bharti Mittal Ne Banaya tha Ye ek software engineer hai or internet entrepreneur Hai, is ne bahut mahenat kar ke Hike Messenger app lunch kiya or 2017 tak aate aate Calling ke bhi features add kar diye
Hike Apps india ke messenger apps hai, or features ke baat kare to aap hike ke Ek group me 1000 member add kar sakte hai or chat kar sakte hai free me call kar sakte hai and text sms, video, image, document, recording Etc, free me send kar sakte hai or bina kisi Monthly/early charge ke Hike apps Free me use kar sakte hai
8# IMO Beta Free Calls And Text
Free video call ke liye special app hai, imo ka use kar ke aap apne friends, family, boss, girlfriend/boyfriend, Etc, ke sath connect rahe sakte hai Hd voice, ke sath 2g, 3g,4g, network par kaam karne wala imo apps best free calling apps hai, imo me ab chat ka Features bhi add kar diya hai to aap friend ke sath chat bhi kar sakte hai
High quality voice, and video calling ke liye imo apps best hai and apne friends ko bhi imo apps use karwa ke free chat, free sticker send, video, images send karne ke liye kahe sakte hai, free calling ke liye bhi imo apps use kar sakte hai,
9# Skype Lite
Free calling and free video calling Apps me skype sabse purana apps hai, Skype ko 29 August 2003 me lunch kiya gaya tha bahut sare features add kiye gaye hai and Skype apps se aap International Call bhi free me kar sakte hai, And friends ke sath chat kar sakte hai,
Skype apps se free calling to kar sakte hai, sath me ye bhi dekh sakte hai ke skype apps me kitana Data kharch huva hai, Sabse achi baat ye hai ke skype me aap 300MB ke size ke video, audio, photo, documents, etc, ko send kar sakte hai, hd video call, hd sound me voice call bhi kar sakte hai, free calling ke liye best apps hai
10# Viber Messenger
Viber bhi popular apps hai free calling and online chat karne ke liye, Viber apps ko 2 December 2010 me lunch kiya gaya tha, Viber apps ko use karna bahut esay hai or Viber Apps 40+ language ko support karta hai apni choice ke language use kar sakte hai and Viber apps ko Android, ios, IPhone, computer, etc me use kar sakte hai or free calling kar sakte hai
Viber me chat karne ke liye 1000+ sticker Add kiye hai use kar sakte hai, and Viber apps me game bhi khel sakte hai and viber me group chat and group calling bhi kar sakte hai free calling karne ke liye bahut he acha apps hai
Dosto maine upar ke list me 10 Aise Apps ke bare me batya hai jin ka use kar ke aap Free calling kar sakte hai or bahut se apps to aise bhi hai  jaha par friends ke sath chat bhi kar sakte hai, 10 best free calls apps for Android ke is Post se koi problem ho rahi hai ya free call nahi kar pa rahe hai to comment kar ke hum se apni problem solve kar sakte hai
Online free call karne ke ye post ko apne friends ke sath social media par share Jarur kare or un ko bhi Free calling ke bare me bataye




0 comments: